ham ko lutf aata hai ab fareb khaane mein
aazmaayein logon ko khoob aazmaane mein
do-ghadi ke saathi ko hum-safar samjhte hain
kis qadar purane hain ham naye zamaane mein
tere paas aane mein aadhi umr guzri hai
aadhi umr guzregi tujh se oob jaane mein
ehtiyaat rakhne ki koi had bhi hoti hai
bhed humeen ne khole hain bhed ko chhupaane mein
zindagi tamasha hai aur is tamaashe mein
khel ham bigaarenge khel ko banaane mein
हम को लुत्फ़ आता है अब फ़रेब खाने में
आज़माएँ लोगों को ख़ूब आज़माने में
दो-घड़ी के साथी को हम-सफ़र समझते हैं
किस क़दर पुराने हैं हम नए ज़माने में
तेरे पास आने में आधी उम्र गुज़री है
आधी उम्र गुज़रेगी तुझ से ऊब जाने में
एहतियात रखने की कोई हद भी होती है
भेद हमीं ने खोले हैं भेद को छुपाने में
ज़िंदगी तमाशा है और इस तमाशे में
खेल हम बिगाड़ेंगे खेल को बनाने में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Alam Khursheed
our suggestion based on Alam Khursheed
As you were reading Zindagi Shayari Shayari