zawaal mein bhi raha dil-nasheen nazaara mera | ज़वाल में भी रहा दिल-नशीं नज़ारा मिरा

  - Alam Khursheed

zawaal mein bhi raha dil-nasheen nazaara mera
mere hi saath gira toot ke sitaara mera

kisi pe ramz meri baat ki khuli hi nahin
na kaam aaya mere koi isti'aara mera

yaqeen kisi ko na aaya main doob saka hoon
samajh rahe the agarche sabhi ishaara mera

nadi ki tarah kinaara bhi kaatta hoon main
kisi hisaar mein hota nahin guzaara mera

ye baat jaan ke hairat nahin hui mujh ko
ki meri aag se raushan raha sitaara mera

na rok paai mujhe maujon ki koi saazish
ravaan-davaan hai abhi jheel mein shikaara mera

abhi se samt badlne laga main kyun aalam
abhi to door bahut door hai kinaara mera

ज़वाल में भी रहा दिल-नशीं नज़ारा मिरा
मिरे ही साथ गिरा टूट के सितारा मिरा

किसी पे रम्ज़ मिरी बात की खुली ही नहीं
न काम आया मिरे कोई इस्तिआ'रा मिरा

यक़ीं किसी को न आया मैं डूब सकता हूँ
समझ रहे थे अगरचे सभी इशारा मिरा

नदी की तरह किनारा भी काटता हूँ मैं
किसी हिसार में होता नहीं गुज़ारा मिरा

ये बात जान के हैरत नहीं हुई मुझ को
कि मेरी आग से रौशन रहा सितारा मिरा

न रोक पाई मुझे मौजों की कोई साज़िश
रवाँ-दवाँ है अभी झील में शिकारा मिरा

अभी से सम्त बदलने लगा मैं क्यूँ 'आलम'
अभी तो दूर बहुत दूर है किनारा मिरा

  - Alam Khursheed

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alam Khursheed

As you were reading Shayari by Alam Khursheed

Similar Writers

our suggestion based on Alam Khursheed

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari