mere hisaar se baahar bula raha hai mujhe | मिरे हिसार से बाहर बुला रहा है मुझे

  - Alam Khursheed

mere hisaar se baahar bula raha hai mujhe
koi haseen sa manzar bula raha hai mujhe

jahaan muqeem tha main ek ajnabi ki tarah
wahi makaan ab akshar bula raha hai mujhe

jo thak ke baith gaya hoon main beech raaste mein
to ab vo meel ka patthar bula raha hai mujhe

hua hai tishna-labi se muaahida mera
abas hi roz samundar bula raha hai mujhe

bujha diye hain usi ne kai charaagh mere
jo ek sham'a jala kar bula raha hai mujhe

vo jaanta hai main us ke sitam ka khugar hoon
so baar baar sitamgar bula raha hai mujhe

bula raha hai to khul kar kabhi bulaaye vo
bas ik ishaare se akshar bula raha hai mujhe

dayaar-e-ghair mein rehta hoon main magar aalam
har ek lamha mera ghar bula raha hai mujhe

मिरे हिसार से बाहर बुला रहा है मुझे
कोई हसीन सा मंज़र बुला रहा है मुझे

जहाँ मुक़ीम था मैं एक अजनबी की तरह
वही मकान अब अक्सर बुला रहा है मुझे

जो थक के बैठ गया हूँ मैं बीच रस्ते में
तो अब वो मील का पत्थर बुला रहा है मुझे

हुआ है तिश्ना-लबी से मुआहिदा मेरा
अबस ही रोज़ समुंदर बुला रहा है मुझे

बुझा दिए हैं उसी ने कई चराग़ मिरे
जो एक शम्अ जला कर बुला रहा है मुझे

वो जानता है मैं उस के सितम का ख़ूगर हूँ
सो बार बार सितमगर बुला रहा है मुझे

बुला रहा है तो खुल कर कभी बुलाए वो
बस इक इशारे से अक्सर बुला रहा है मुझे

दयार-ए-ग़ैर में रहता हूँ मैं मगर 'आलम'
हर एक लम्हा मिरा घर बुला रहा है मुझे

  - Alam Khursheed

Raasta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alam Khursheed

As you were reading Shayari by Alam Khursheed

Similar Writers

our suggestion based on Alam Khursheed

Similar Moods

As you were reading Raasta Shayari Shayari