har ghadi ik yahi ehsaas-e-ziyaan rehta hai | हर घड़ी इक यही एहसास-ए-ज़ियाँ रहता है

  - Alam Khursheed

har ghadi ik yahi ehsaas-e-ziyaan rehta hai
aag raushan thi jahaan sirf dhuaan rehta hai

khatm hota hi nahin dasht ka ab sannaata
koi mausam ho yahan ek samaan rehta hai

aa gai raas mere dil ki udaasi shaayad
itni muddat bhi kahi daur-e-khizaan rehta hai

phool khilte hain to murjhaaye hue lagte hain
ik ajab khauf sar-e-shaakh-e-gumaan rehta hai

saaz ke taar hain toote hue mutarib chup hain
ab fazaaon mein faqat shor-e-sagaan rehta hai

raasta chalte hue log thithak jaate hain
har-qadam jaise tah-e-sang-e-garaan rehta hai

main bhi ruk jaaun magar ruk nahin paata aalam
ek dariya sa sada mujh mein ravaan rehta hai

हर घड़ी इक यही एहसास-ए-ज़ियाँ रहता है
आग रौशन थी जहाँ सिर्फ़ धुआँ रहता है

ख़त्म होता ही नहीं दश्त का अब सन्नाटा
कोई मौसम हो यहाँ एक समाँ रहता है

आ गई रास मिरे दिल की उदासी शायद
इतनी मुद्दत भी कहीं दौर-ए-ख़िज़ाँ रहता है

फूल खिलते हैं तो मुरझाए हुए लगते हैं
इक अजब ख़ौफ़ सर-ए-शाख़-ए-गुमाँ रहता है

साज़ के तार हैं टूटे हुए मुतरिब चुप हैं
अब फ़ज़ाओं में फ़क़त शोर-ए-सगाँ रहता है

रास्ता चलते हुए लोग ठिठक जाते हैं
हर-क़दम जैसे तह-ए-संग-ए-गराँ रहता है

मैं भी रुक जाऊँ मगर रुक नहीं पाता 'आलम'
एक दरिया सा सदा मुझ में रवाँ रहता है

  - Alam Khursheed

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alam Khursheed

As you were reading Shayari by Alam Khursheed

Similar Writers

our suggestion based on Alam Khursheed

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari