dekh raha hai dariya bhi hairaani se | देख रहा है दरिया भी हैरानी से

  - Alam Khursheed

dekh raha hai dariya bhi hairaani se
main ne kaise paar kiya aasaani se

nadi kinaare paharon baitha rehta hoon
kya rishta hai mera bahte paani se

har kamre se dhoop hawa ki yaari thi
ghar ka naqsha bigda hai nadaani se

ab sehra mein chain se soya karta hoon
dar lagta tha bachpan mein veeraani se

dil paagal hai roz pashemaan hota hai
phir bhi baaz nahin aata man-maani se

kam kam kharch karo warna ye jazbe bhi
be-waqt ho jaate hain arzaani se

apna farz nibhaana ek ibadat hai
aalam ham ne seekha ik jaapani se

देख रहा है दरिया भी हैरानी से
मैं ने कैसे पार किया आसानी से

नदी किनारे पहरों बैठा रहता हूँ
क्या रिश्ता है मेरा बहते पानी से

हर कमरे से धूप हवा की यारी थी
घर का नक़्शा बिगड़ा है नादानी से

अब सहरा में चैन से सोया करता हूँ
डर लगता था बचपन में वीरानी से

दिल पागल है रोज़ पशेमाँ होता है
फिर भी बाज़ नहीं आता मन-मानी से

कम कम ख़र्च करो वर्ना ये जज़्बे भी
बे-वक़'अत हो जाते हैं अर्ज़ानी से

अपना फ़र्ज़ निभाना एक इबादत है
'आलम' हम ने सीखा इक जापानी से

  - Alam Khursheed

Dost Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alam Khursheed

As you were reading Shayari by Alam Khursheed

Similar Writers

our suggestion based on Alam Khursheed

Similar Moods

As you were reading Dost Shayari Shayari