tah-b-tah hai raaz koi aab ki tahveel mein
khaamoshi yun hi nahin rahti hai gahri jheel mein
main ne bachpan mein adhoora khwaab dekha tha koi
aaj tak masroof hoon us khwaab ki takmeel mein
har ghadi ahkaam jaari karta rehta hai ye dil
haath baandhe main khada hoon hukm ki taameel mein
kab meri marzi se koi kaam hota hai tamaam
har ghadi rehta hoon main kyun be-sabab taajeel mein
maangti hai ab mohabbat apne hone ka suboot
aur main jaata nahin izhaar ki tafseel mein
muddaa tera samajh leta hoon teri chaal se
tu pareshaan hai abas alfaaz ki taawil mein
apni khaatir bhi to aalam cheez rakhni thi koi
ab kahaan kuchh bhi bacha hai teri is zambil mein
तह-ब-तह है राज़ कोई आब की तहवील में
ख़ामुशी यूँ ही नहीं रहती है गहरी झील में
मैं ने बचपन में अधूरा ख़्वाब देखा था कोई
आज तक मसरूफ़ हूँ उस ख़्वाब की तकमील में
हर घड़ी अहकाम जारी करता रहता है ये दिल
हाथ बाँधे मैं खड़ा हूँ हुक्म की तामील में
कब मिरी मर्ज़ी से कोई काम होता है तमाम
हर घड़ी रहता हूँ मैं क्यूँ बे-सबब ताजील में
माँगती है अब मोहब्बत अपने होने का सुबूत
और मैं जाता नहीं इज़हार की तफ़्सील में
मुद्दआ' तेरा समझ लेता हूँ तेरी चाल से
तू परेशाँ है अबस अल्फ़ाज़ की तावील में
अपनी ख़ातिर भी तो 'आलम' चीज़ रखनी थी कोई
अब कहाँ कुछ भी बचा है तेरी इस ज़म्बील में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Alam Khursheed
our suggestion based on Alam Khursheed
As you were reading Dushmani Shayari Shayari