kuchh chamakta sa tah-e-aab nazar to aaye | कुछ चमकता सा तह-ए-आब नज़र तो आए

  - Alam Khursheed

kuchh chamakta sa tah-e-aab nazar to aaye
doobne ke liye girdaab nazar to aaye

koi ta'beer ki soorat bhi nikal aayegi
neend to aaye kabhi khwaab nazar to aaye

band kamre ki fazaa kis ko bhali lagti hai
mere itaraaf mein mahtaab nazar to aaye

do ghadi thehroon kahi main bhi zara dam le luun
raah mein khitaa-e-shaadaab nazar to aaye

main shikasta hoon idhar tu bhi shikasta hai udhar
jang mein koi zafar-yaab nazar to aaye

mushkilein gher ke baithi hain mera ghar aalam
ab zara halka-e-ahbaab nazar to aaye

कुछ चमकता सा तह-ए-आब नज़र तो आए
डूबने के लिए गिर्दाब नज़र तो आए

कोई ता'बीर की सूरत भी निकल आएगी
नींद तो आए कभी ख़्वाब नज़र तो आए

बंद कमरे की फ़ज़ा किस को भली लगती है
मेरे अतराफ़ में महताब नज़र तो आए

दो घड़ी ठहरूँ कहीं मैं भी ज़रा दम ले लूँ
राह में ख़ित्ता-ए-शादाब नज़र तो आए

मैं शिकस्ता हूँ इधर तू भी शिकस्ता है उधर
जंग में कोई ज़फ़र-याब नज़र तो आए

मुश्किलें घेर के बैठी हैं मिरा घर 'आलम'
अब ज़रा हल्क़ा-ए-अहबाब नज़र तो आए

  - Alam Khursheed

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alam Khursheed

As you were reading Shayari by Alam Khursheed

Similar Writers

our suggestion based on Alam Khursheed

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari