koi mausam na kabhi kar saka shaadaab hamein | कोई मौसम न कभी कर सका शादाब हमें

  - Alam Khursheed

koi mausam na kabhi kar saka shaadaab hamein
shehar mein jeene ke aaye nahin aadaab hamein

bahte dariya mein koi aks theharta hi nahin
yaad aata hai bahut gaav ka taalaab hamein

is tarah pyaas bujhaai hai kahaan dariya ne
ek qatre ne kiya jis tarah sairaab hamein

jhilmili raushni har-samt nazar aati hai
kheenchti hai koi qindeel tah-e-aab hamein

kya pata kaun se janmon ka hai rishta apna
dhundh hi lete hain har bahar mein girdaab hamein

din ult deta hai har khwaab ki ta'beer magar
raat dikhlaati hai phir koi naya khwaab hamein

be-amaan ham jo hue hain to hamein yaad aaya
roz dete the sada mimbar-o-mehraab hamein

kaash ma'aloom ye pehle hamein hota aalam
dekhna chahta tha vo bhi zafar-yaab hamein

कोई मौसम न कभी कर सका शादाब हमें
शहर में जीने के आए नहीं आदाब हमें

बहते दरिया में कोई अक्स ठहरता ही नहीं
याद आता है बहुत गाँव का तालाब हमें

इस तरह प्यास बुझाई है कहाँ दरिया ने
एक क़तरे ने किया जिस तरह सैराब हमें

झिलमिली रौशनी हर-सम्त नज़र आती है
खींचती है कोई क़िंदील तह-ए-आब हमें

क्या पता कौन से जन्मों का है रिश्ता अपना
ढूँड ही लेते हैं हर बहर में गिर्दाब हमें

दिन उलट देता है हर ख़्वाब की ता'बीर मगर
रात दिखलाती है फिर कोई नया ख़्वाब हमें

बे-अमाँ हम जो हुए हैं तो हमें याद आया
रोज़ देते थे सदा मिम्बर-ओ-मेहराब हमें

काश मा'लूम ये पहले हमें होता 'आलम'
देखना चाहता था वो भी ज़फ़र-याब हमें

  - Alam Khursheed

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alam Khursheed

As you were reading Shayari by Alam Khursheed

Similar Writers

our suggestion based on Alam Khursheed

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari