sadak pe daudte mahtaab dekh leta hoon | सड़क पे दौड़ते महताब देख लेता हूँ

  - Alam Khursheed

sadak pe daudte mahtaab dekh leta hoon
main chalta-firta hua khwaab dekh leta hoon

meri nazar se pare saikron jahaan honge
main ik jahaan tah-e-aab dekh leta hoon

main toote bikhre hue doston ki basti mein
naye nizaam ke aadaab dekh leta hoon

ajeeb dhund hai main apni haar mein aalam
shikast-e-gumbad-o-mehraab dekh leta hoon

सड़क पे दौड़ते महताब देख लेता हूँ
मैं चलता-फिरता हुआ ख़्वाब देख लेता हूँ

मिरी नज़र से परे सैकड़ों जहाँ होंगे
मैं इक जहान तह-ए-आब देख लेता हूँ

मैं टूटे बिखरे हुए दोस्तों की बस्ती में
नए निज़ाम के आदाब देख लेता हूँ

अजीब धुँद है मैं अपनी हार में 'आलम'
शिकस्त-ए-गुंबद-ओ-मेहराब देख लेता हूँ

  - Alam Khursheed

Musafir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alam Khursheed

As you were reading Shayari by Alam Khursheed

Similar Writers

our suggestion based on Alam Khursheed

Similar Moods

As you were reading Musafir Shayari Shayari