aalam jeevan khel-tamasha danaai nadaani hai | आलम' जीवन खेल-तमाशा दानाई नादानी है

  - Alam Khursheed

aalam jeevan khel-tamasha danaai nadaani hai
tab tak zinda rahte hain ham jab tak ik hairaani hai

aag hawa aur mitti paani mil kar kaise rahte hain
dekh ke khud ko hairaan hoon main jaise khwaab kahaani hai

aawazon ka jungle bhi hai sannaaton ka sehra bhi
ek taraf aabaadi mujh mein ek taraf veeraani hai

is manzar ko aakhir kyun main paharon takta rehta hoon
oopar saakit chattaanen hain tah mein bahta paani hai

mere baccho is khitte mein pyaar ki ganga bahti thi
dekho is tasveer ko dekho ye tasveer puraani hai

aalam mujh ko beemaari hai neend mein chalte rahne ki
raaton mein bhi kab rukta hai mujh mein jo sailaani hai

आलम' जीवन खेल-तमाशा दानाई नादानी है
तब तक ज़िंदा रहते हैं हम जब तक इक हैरानी है

आग हवा और मिट्टी पानी मिल कर कैसे रहते हैं
देख के ख़ुद को हैराँ हूँ मैं जैसे ख़्वाब कहानी है

आवाज़ों का जंगल भी है सन्नाटों का सहरा भी
एक तरफ़ आबादी मुझ में एक तरफ़ वीरानी है

इस मंज़र को आख़िर क्यूँ मैं पहरों तकता रहता हूँ
ऊपर साकित चट्टानें हैं तह में बहता पानी है

मेरे बच्चो इस ख़ित्ते में प्यार की गंगा बहती थी
देखो इस तस्वीर को देखो ये तस्वीर पुरानी है

'आलम' मुझ को बीमारी है नींद में चलते रहने की
रातों में भी कब रुकता है मुझ में जो सैलानी है

  - Alam Khursheed

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alam Khursheed

As you were reading Shayari by Alam Khursheed

Similar Writers

our suggestion based on Alam Khursheed

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari