jal bujha hoon main magar saara jahaan taak mein hai | जल बुझा हूँ मैं मगर सारा जहाँ ताक में है

  - Alam Khursheed

jal bujha hoon main magar saara jahaan taak mein hai
koi taaseer to maujood meri khaak mein hai

khenchti rahti hai har lamha mujhe apni taraf
jaane kya cheez hai jo pardaa-e-aflaak mein hai

koi soorat bhi nahin milti kisi soorat mein
kooza-gar kaisa karishma tire is chaak mein hai

kaise thehroon ki kisi shehar se milta hi nahin
ek naqsha jo mere deeda-e-namunaak mein hai

ye ilaqa bhi magar dil hi ke taabe thehra
ham samjhte the amaan gosha-e-idraak mein hai

qatl hote hain yahan naara-e-ailaan ke saath
waz-daari to abhi aalam-e-saffaak mein hai

kitni cheezein ke bhala naam tujhe ginwaauun
saari duniya hi to shaamil meri imlaak mein hai

raayegaan koi bhi shay hoti nahin hai aalam
ghaur se dekhiye kya kya khas-o-khaashaak mein hai

जल बुझा हूँ मैं मगर सारा जहाँ ताक में है
कोई तासीर तो मौजूद मिरी ख़ाक में है

खेंचती रहती है हर लम्हा मुझे अपनी तरफ़
जाने क्या चीज़ है जो पर्दा-ए-अफ़्लाक में है

कोई सूरत भी नहीं मिलती किसी सूरत में
कूज़ा-गर कैसा करिश्मा तिरे इस चाक में है

कैसे ठहरूँ कि किसी शहर से मिलता ही नहीं
एक नक़्शा जो मिरे दीदा-ए-नमनाक में है

ये इलाक़ा भी मगर दिल ही के ताबे ठहरा
हम समझते थे अमाँ गोशा-ए-इदराक में है

क़त्ल होते हैं यहाँ नारा-ए-ऐलान के साथ
वज़्अ-दारी तो अभी आलम-ए-सफ़्फ़ाक में है

कितनी चीज़ों के भला नाम तुझे गिनवाऊँ
सारी दुनिया ही तो शामिल मिरी इम्लाक में है

राएगाँ कोई भी शय होती नहीं है 'आलम'
ग़ौर से देखिए क्या क्या ख़स-ओ-ख़ाशाक में है

  - Alam Khursheed

Murder Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alam Khursheed

As you were reading Shayari by Alam Khursheed

Similar Writers

our suggestion based on Alam Khursheed

Similar Moods

As you were reading Murder Shayari Shayari