jaana to bahut door hai mahtaab se aage | जाना तो बहुत दूर है महताब से आगे

  - Alam Khursheed

jaana to bahut door hai mahtaab se aage
badhte hi nahin paanv tire khwaab se aage

kuchh aur haseen mod the rudaad-e-safar mein
likkha na magar kuchh bhi tire baab se aage

tahzeeb ki zanjeer se uljha raha main bhi
tu bhi na badha jism ke aadaab se aage

moti ke khazaane bhi tah-e-aab chhupe the
nikla na koi khatra-e-girdaab se aage

dekho to kabhi dasht bhi aabaad hai kaisa
niklo to zara khitaa-e-shaadaab se aage

bichhda to nahin koi tumhaara bhi safar mein
kyun bhaage chale jaate ho betaab se aage

duniya ka chalan dekh ke lagta to yahi hai
ab kuchh bhi nahin aalam-e-asbaab se aage

जाना तो बहुत दूर है महताब से आगे
बढ़ते ही नहीं पाँव तिरे ख़्वाब से आगे

कुछ और हसीं मोड़ थे रूदाद-ए-सफ़र में
लिक्खा न मगर कुछ भी तिरे बाब से आगे

तहज़ीब की ज़ंजीर से उलझा रहा मैं भी
तू भी न बढ़ा जिस्म के आदाब से आगे

मोती के ख़ज़ाने भी तह-ए-आब छुपे थे
निकला न कोई ख़तरा-ए-गिर्दाब से आगे

देखो तो कभी दश्त भी आबाद है कैसा
निकलो तो ज़रा ख़ित्ता-ए-शादाब से आगे

बिछड़ा तो नहीं कोई तुम्हारा भी सफ़र में
क्यूँ भागे चले जाते हो बेताब से आगे

दुनिया का चलन देख के लगता तो यही है
अब कुछ भी नहीं आलम-ए-असबाब से आगे

  - Alam Khursheed

Freedom Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alam Khursheed

As you were reading Shayari by Alam Khursheed

Similar Writers

our suggestion based on Alam Khursheed

Similar Moods

As you were reading Freedom Shayari Shayari