hiraasaan hoon siyaahi mein kami hoti nahin hai | हिरासाँ हूँ सियाही में कमी होती नहीं है

  - Alam Khursheed

hiraasaan hoon siyaahi mein kami hoti nahin hai
charaaghaan kar raha hoon raushni hoti nahin hai

bahut chaaha ki aankhen band kar ke main bhi jee luun
magar mujh se basar yun zindagi hoti nahin hai

lahu ka ek ik qatra pilaata ja raha hoon
agarche khaak mein paida nami hoti nahin hai

dareechon ko khula rakhta hoon main har-waqt lekin
hawa mein pehle jaisi taazgi hoti nahin hai

main rishvat ke masaail par namaazen padh na paaya
badi ke saath mujh se bandagi hoti nahin hai

main apne ahad ki tasveer har-pal kheenchta hoon
galat hai sochna ye shaay'ri hoti nahin hai

bura hai dushmani se aashna hona bhi aalam
kisi se ab hamaari dosti hoti nahin hai

हिरासाँ हूँ सियाही में कमी होती नहीं है
चराग़ाँ कर रहा हूँ रौशनी होती नहीं है

बहुत चाहा कि आँखें बंद कर के मैं भी जी लूँ
मगर मुझ से बसर यूँ ज़िंदगी होती नहीं है

लहू का एक इक क़तरा पिलाता जा रहा हूँ
अगरचे ख़ाक में पैदा नमी होती नहीं है

दरीचों को खुला रखता हूँ मैं हर-वक़्त लेकिन
हवा में पहले जैसी ताज़गी होती नहीं है

मैं रिश्वत के मसाइल पर नमाज़ें पढ़ न पाया
बदी के साथ मुझ से बंदगी होती नहीं है

मैं अपने अहद की तस्वीर हर-पल खींचता हूँ
ग़लत है सोचना ये शाइ'री होती नहीं है

बुरा है दुश्मनी से आश्ना होना भी 'आलम'
किसी से अब हमारी दोस्ती होती नहीं है

  - Alam Khursheed

Dushman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alam Khursheed

As you were reading Shayari by Alam Khursheed

Similar Writers

our suggestion based on Alam Khursheed

Similar Moods

As you were reading Dushman Shayari Shayari