ek ajab si duniya dekha karta tha
din mein bhi main sapna dekha karta tha
ek khayal-aabaad tha mere dil mein bhi
khud ko main shehzaada dekha karta tha
sabz pari ka udan-khatola har lamhe
apni jaanib aata dekha karta tha
ud jaata tha roop badal kar chidiyon ke
jungle sehra dariya dekha karta tha
heere jaisa lagta tha ik ik patthar
har mitti mein sona dekha karta tha
koi nahin tha tishna registaanon mein
har sehra mein dariya dekha karta tha
har jaanib hariyaali thi khush-haali thi
har chehre ko hansta dekha karta tha
bachpan ke din kitne achhe hote hain
sab kuchh hi main achha dekha karta tha
aankh khuli to saare manzar ghaaeb hain
band aankhon se kya kya dekha karta tha
एक अजब सी दुनिया देखा करता था
दिन में भी मैं सपना देखा करता था
एक ख़याल-आबाद था मेरे दिल में भी
ख़ुद को मैं शहज़ादा देखा करता था
सब्ज़ परी का उड़न-खटोला हर लम्हे
अपनी जानिब आता देखा करता था
उड़ जाता था रूप बदल कर चिड़ियों के
जंगल सहरा दरिया देखा करता था
हीरे जैसा लगता था इक इक पत्थर
हर मिट्टी में सोना देखा करता था
कोई नहीं था तिश्ना रेगिस्तानों में
हर सहरा में दरिया देखा करता था
हर जानिब हरियाली थी ख़ुश-हाली थी
हर चेहरे को हँसता देखा करता था
बचपन के दिन कितने अच्छे होते हैं
सब कुछ ही मैं अच्छा देखा करता था
आँख खुली तो सारे मंज़र ग़ाएब हैं
बंद आँखों से क्या क्या देखा करता था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Alam Khursheed
our suggestion based on Alam Khursheed
As you were reading Beti Shayari Shayari