ek aisa bhi marhala hoga | एक ऐसा भी मरहला होगा

  - Alamdar Adam

ek aisa bhi marhala hoga
us ne sab kuchh mita diya hoga

ye jo ladta hai raat-din mujh se
koi mujh mein bhi doosra hoga

vo jo sacchi thi vo kahaani thi
ye jo qissa hai haadisa hoga

us ne sadiyon ko baandh rakha hai
vo jo kehta tha kal raha hoga

vo jo toota tha neend jaisa kuchh
us ka naqsha bhi khwaab sa hoga

vo jo kehta tha kuchh nahin baaki
ain mumkin hai kuchh hua hoga

एक ऐसा भी मरहला होगा
उस ने सब कुछ मिटा दिया होगा

ये जो लड़ता है रात-दिन मुझ से
कोई मुझ में भी दूसरा होगा

वो जो सच्ची थी वो कहानी थी
ये जो क़िस्सा है हादिसा होगा

उस ने सदियों को बाँध रक्खा है
वो जो कहता था कल रहा होगा

वो जो टूटा था नींद जैसा कुछ
उस का नक़्शा भी ख़्वाब सा होगा

वो जो कहता था कुछ नहीं बाक़ी
ऐन मुमकिन है कुछ हुआ होगा

  - Alamdar Adam

Khwab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alamdar Adam

As you were reading Shayari by Alamdar Adam

Similar Writers

our suggestion based on Alamdar Adam

Similar Moods

As you were reading Khwab Shayari Shayari