kisi ko phir use paane ki zid hai | किसी को फिर उसे पाने की ज़िद है

  - Alamdar Adam

kisi ko phir use paane ki zid hai
hamaare darmiyaan aane ki zid hai

meri chaahat hai us ko rok lena
magar vo hai ki bas jaane ki zid hai

dayaar-e-shaam se aage nikal kar
mohabbat ke azaa-khaane ki zid hai

shuoor-e-gham wahan pahuncha ki ab to
khushi ko marsiya-khaane ki zid hai

kisi ki pyaas zinda jaavedaan hai
kisi ko phir se mar jaane ki zid hai

furaat-e-jism se khemen hata kar
ameer-e-shaam ke aane ki zid hai

किसी को फिर उसे पाने की ज़िद है
हमारे दरमियाँ आने की ज़िद है

मिरी चाहत है उस को रोक लेना
मगर वो है कि बस जाने की ज़िद है

दयार-ए-शाम से आगे निकल कर
मोहब्बत के अज़ा-ख़ाने की ज़िद है

शुऊर-ए-ग़म वहाँ पहुँचा कि अब तो
ख़ुशी को मर्सिया-ख़ाने की ज़िद है

किसी की प्यास ज़िंदा जावेदाँ है
किसी को फिर से मर जाने की ज़िद है

फ़ुरात-ए-जिस्म से खेमें हटा कर
अमीर-ए-शाम के आने की ज़िद है

  - Alamdar Adam

Aarzoo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alamdar Adam

As you were reading Shayari by Alamdar Adam

Similar Writers

our suggestion based on Alamdar Adam

Similar Moods

As you were reading Aarzoo Shayari Shayari