koi bhi rasm ho kuchh ho bahaana hota tha | कोई भी रस्म हो कुछ हो बहाना होता था

  - Alamdar Adam

koi bhi rasm ho kuchh ho bahaana hota tha
na jaane kya tha ki milna milaana hota tha

kisi se milte agar dil se ho ke milte the
ajeeb log the kaisa zamaana hota tha

vo lad-jhagad ke bhi ik doosre pe marte the
ye sab to tha hi magar aana-jaana hota tha

koi bhi tod nahin ahad-e-yaad-e-maazi ka
hazaar gham the magar muskurana hota tha

ye tarbiyat thi gharo mein har ek beti ko
kisi bhi haal mein ho ghar bachaana hota tha

varq varq the kitaabon ke mo'tabar itne
har ek lafz ko dil mein basaana hota tha

agar tha ishq to is mein bhi aisi shiddat thi
bhanwar mein aise hi bas kood jaana hota tha

कोई भी रस्म हो कुछ हो बहाना होता था
न जाने क्या था कि मिलना मिलाना होता था

किसी से मिलते अगर दिल से हो के मिलते थे
अजीब लोग थे कैसा ज़माना होता था

वो लड़-झगड़ के भी इक दूसरे पे मरते थे
ये सब तो था ही मगर आना-जाना होता था

कोई भी तोड़ नहीं अहद-ए-याद-ए-माज़ी का
हज़ार ग़म थे मगर मुस्कुराना होता था

ये तर्बियत थी घरों में हर एक बेटी को
किसी भी हाल में हो घर बचाना होता था

वरक़ वरक़ थे किताबों के मो'तबर इतने
हर एक लफ़्ज़ को दिल में बसाना होता था

अगर था इश्क़ तो इस में भी ऐसी शिद्दत थी
भँवर में ऐसे ही बस कूद जाना होता था

  - Alamdar Adam

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alamdar Adam

As you were reading Shayari by Alamdar Adam

Similar Writers

our suggestion based on Alamdar Adam

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari