jism toota hai jaan tooti hai
umr bhar ki thakaan tooti hai
vo jo faila tha kal dhuaan ban kar
aaj us ki uthaan tooti hai
aisa lagta hai shehar toot gaya
sab se unchi dukaan tooti hai
koi dhoka tha kha liya us ne
us ke haathon zabaan tooti hai
vo b-zaahir hai mutmain lekin
us ke andar ki aan tooti hai
raqs taari hai saare jungle par
koi taaza machaan tooti hai
जिस्म टूटा है जान टूटी है
उम्र भर की थकान टूटी है
वो जो फैला था कल धुआँ बन कर
आज उस की उठान टूटी है
ऐसा लगता है शहर टूट गया
सब से ऊँची दुकान टूटी है
कोई धोका था खा लिया उस ने
उस के हाथों ज़बान टूटी है
वो ब-ज़ाहिर है मुतमइन लेकिन
उस के अंदर की आन टूटी है
रक़्स तारी है सारे जंगल पर
कोई ताज़ा मचान टूटी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Alamdar Adam
our suggestion based on Alamdar Adam
As you were reading Environment Shayari Shayari