use bhi laut kar aana nahin tha
vo jis ke saamne rasta nahin tha
usi ke khwaab dekhe ja rahe the
jise ham ne kabhi dekha nahin tha
hamaara zaahir-o-baatin mukammal
kisi ke ishq mein dooba nahin tha
isee ummeed par zinda the ab tak
maseeha laut kar aaya nahin tha
saroon ki bheed thi hadd-e-nazar tak
magar un mein koi zinda nahin tha
ghane pedon ki majboori to dekho
kahi bhi door tak saaya nahin tha
उसे भी लौट कर आना नहीं था
वो जिस के सामने रस्ता नहीं था
उसी के ख़्वाब देखे जा रहे थे
जिसे हम ने कभी देखा नहीं था
हमारा ज़ाहिर-ओ-बातिन मुकम्मल
किसी के इश्क़ में डूबा नहीं था
इसी उम्मीद पर ज़िंदा थे अब तक
मसीहा लौट कर आया नहीं था
सरों की भीड़ थी हद्द-ए-नज़र तक
मगर उन में कोई ज़िंदा नहीं था
घने पेड़ों की मजबूरी तो देखो
कहीं भी दूर तक साया नहीं था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Alamdar Adam
our suggestion based on Alamdar Adam
As you were reading Love Shayari Shayari