zameen se aasmaan tak ka safar hai | ज़मीं से आसमाँ तक का सफ़र है

  - Alamdar Adam

zameen se aasmaan tak ka safar hai
yaqeen jaisa gumaan tak ka safar hai

hamein to raat din chalna hai lekin
khuda jaane kahaan tak ka safar hai

mere us ke ta'alluq ki kahaani
junoon ke darmiyaan tak ka safar hai

tire inkaar ka saara khulasa
tiri halki si haan tak ka safar hai

kitaab-e-ishq ki har dastaan mein
har ik qissa ziyaan tak ka safar hai

ज़मीं से आसमाँ तक का सफ़र है
यक़ीं जैसा गुमाँ तक का सफ़र है

हमें तो रात दिन चलना है लेकिन
ख़ुदा जाने कहाँ तक का सफ़र है

मिरे उस के तअ'ल्लुक़ की कहानी
जुनूँ के दरमियाँ तक का सफ़र है

तिरे इंकार का सारा ख़ुलासा
तिरी हल्की सी हाँ तक का सफ़र है

किताब-ए-इश्क़ की हर दास्ताँ में
हर इक क़िस्सा ज़ियाँ तक का सफ़र है

  - Alamdar Adam

Travel Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alamdar Adam

As you were reading Shayari by Alamdar Adam

Similar Writers

our suggestion based on Alamdar Adam

Similar Moods

As you were reading Travel Shayari Shayari