hamein pata bhi nahin kis ki vo kahaani thi | हमें पता भी नहीं किस की वो कहानी थी

  - Alamdar Adam

hamein pata bhi nahin kis ki vo kahaani thi
vo is qadar thi nayi ki bahut puraani thi

kabhi jo dekh liya us ko dekhte hi rahe
vo apne aap mein thehri hui rawaani thi

tumhaari yaad ka rakha hai canvas warna
hamaare khwaab ne soorat nayi banaani thi

tumhaare paas to qisse kahaaniyaan hain bahut
kabhi jo ham ne kahi bhi nahin sunaani thi

ye rishte naate faqat bojh tha ki dhone the
wafa bhi sochie aise hi bas nibhaani thi

wahin pe khaak se milna tha khaak hona tha
usi ke shehar mein shohrat agar kamaani thi

vo roz roz ka marna kamaal tha lekin
ye zindagi to meri jaan aazmaani thi

हमें पता भी नहीं किस की वो कहानी थी
वो इस क़दर थी नई कि बहुत पुरानी थी

कभी जो देख लिया उस को देखते ही रहे
वो अपने आप में ठहरी हुई रवानी थी

तुम्हारी याद का रक्खा है कैनवस वर्ना
हमारे ख़्वाब ने सूरत नई बनानी थी

तुम्हारे पास तो क़िस्से कहानियाँ हैं बहुत
कभी जो हम ने कही भी नहीं सुनानी थी

ये रिश्ते नाते फ़क़त बोझ था कि ढोने थे
वफ़ा भी सोचिए ऐसे ही बस निभानी थी

वहीं पे ख़ाक से मिलना था ख़ाक होना था
उसी के शहर में शोहरत अगर कमानी थी

वो रोज़ रोज़ का मरना कमाल था लेकिन
ये ज़िंदगी तो मिरी जान आज़मानी थी

  - Alamdar Adam

Mulaqat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alamdar Adam

As you were reading Shayari by Alamdar Adam

Similar Writers

our suggestion based on Alamdar Adam

Similar Moods

As you were reading Mulaqat Shayari Shayari