kaise kaise raaz chhupaane lagti hain | कैसे कैसे राज़ छुपाने लगती हैं

  - Alamdar Adam

kaise kaise raaz chhupaane lagti hain
aankhen kaise aankh churaane lagti hain

khaamoshi se jab bhi ham do-chaar hue
aawaazen awaaz lagaane lagti hain

ishq ka dariya aisa dariya hai jis mein
ummeedein din raat thikaane lagti hain

jungle to jungle the ab to shehron mein
kya kya cheezen aankh dikhaane lagti hain

mujh ko baahar jaate dekh ke zindaan se
zanjeeren toofaan uthaane lagti hain

कैसे कैसे राज़ छुपाने लगती हैं
आँखें कैसे आँख चुराने लगती हैं

ख़ामोशी से जब भी हम दो-चार हुए
आवाज़ें आवाज़ लगाने लगती हैं

इश्क़ का दरिया ऐसा दरिया है जिस में
उम्मीदें दिन रात ठिकाने लगती हैं

जंगल तो जंगल थे अब तो शहरों में
क्या क्या चीज़ें आँख दिखाने लगती हैं

मुझ को बाहर जाते देख के ज़िंदाँ से
ज़ंजीरें तूफ़ान उठाने लगती हैं

  - Alamdar Adam

Khamoshi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alamdar Adam

As you were reading Shayari by Alamdar Adam

Similar Writers

our suggestion based on Alamdar Adam

Similar Moods

As you were reading Khamoshi Shayari Shayari