safar andar safar karte agar tum
kahaani mukhtasar karte agar tum
hamein manzoor the saare tamaashe
kisi unwaan par karte agar tum
siyaasat mas'ala koi nahin tha
kisi ke naam par karte agar tum
hamaare raabte katne lage hain
kahi phir nama-bar karte agar tum
haqeeqat khul ke aa jaati nazar mein
haqeeqat par nazar karte agar tum
सफ़र अंदर सफ़र करते अगर तुम
कहानी मुख़्तसर करते अगर तुम
हमें मंज़ूर थे सारे तमाशे
किसी उन्वान पर करते अगर तुम
सियासत मसअला कोई नहीं था
किसी के नाम पर करते अगर तुम
हमारे राब्ते कटने लगे हैं
कहीं फिर नामा-बर करते अगर तुम
हक़ीक़त खुल के आ जाती नज़र में
हक़ीक़त पर नज़र करते अगर तुम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Alamdar Adam
our suggestion based on Alamdar Adam
As you were reading Travel Shayari Shayari