zara hate to vo mehwar se toot kar hi rahe
hawa ne nocha unhen yun ki bas bikhar hi rahe
hain be-nishaan jo ude the bagoola-zad ho kar
zameen pe letne waale zameen par hi rahe
bahaar jhaadiyon par toot toot kar barsi
duaaein maangte ashjaar be-samar hi rahe
khusa ye saaya o khushboo ki taa'ir-e-khush-rang
na phir ye waqt rahe aur na ye shajar hi rahe
banaayein aisa makaan ab ki chaand aur suraj
jidhar bhi jaayen magar raushni idhar hi rahe
ज़रा हटे तो वो मेहवर से टूट कर ही रहे
हवा ने नोचा उन्हें यूँ कि बस बिखर ही रहे
हैं बे-निशाँ जो उड़े थे बगूला-ज़द हो कर
ज़मीं पे लेटने वाले ज़मीन पर ही रहे
बहार झाड़ियों पर टूट टूट कर बरसी
दुआएँ माँगते अश्जार बे-समर ही रहे
ख़ुशा ये साया ओ ख़ुश्बू कि ताइर-ए-ख़ुश-रंग
न फिर ये वक़्त रहे और न ये शजर ही रहे
बनाएँ ऐसा मकाँ अब कि चाँद और सूरज
जिधर भी जाएँ मगर रौशनी इधर ही रहे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Akbar Abbas
our suggestion based on Ali Akbar Abbas
As you were reading Ujaala Shayari Shayari