ghubaar-e-noor hai ya kahkashaan hai ya kuchh aur | ग़ुबार-ए-नूर है या कहकशाँ है या कुछ और

  - Ali Akbar Abbas

ghubaar-e-noor hai ya kahkashaan hai ya kuchh aur
ye mere chaaron taraf aasmaan hai ya kuchh aur

jo dekha arsh-e-tasavvur se baarha socha
ye kaayenaat bhi aks-e-ravaan hai ya kuchh aur

main khoye jaata hoon tanhaaiyon ki wus'at mein
dar-e-khayaal dar-e-la-makaan hai ya kuchh aur

firaq-e-umr ki had kyun lagaaee hai us ne
mera vujood hi us ko giran hai ya kuchh aur

azal se ta-b-abad jast ek saaat ki
yahi bas arsa-e-kaar-e-jahaan hai ya kuchh aur

ग़ुबार-ए-नूर है या कहकशाँ है या कुछ और
ये मेरे चारों तरफ़ आसमाँ है या कुछ और

जो देखा अर्श-ए-तसव्वुर से बारहा सोचा
ये काएनात भी अक्स-ए-रवाँ है या कुछ और

मैं खोए जाता हूँ तन्हाइयों की वुसअत में
दर-ए-ख़याल दर-ए-ला-मकाँ है या कुछ और

फ़िराक़-ए-उम्र की हद क्यूँ लगाई है उस ने
मिरा वजूद ही उस को गिराँ है या कुछ और

अज़ल से ता-ब-अबद जस्त एक साअत की
यही बस अर्सा-ए-कार-ए-जहाँ है या कुछ और

  - Ali Akbar Abbas

Falak Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Akbar Abbas

As you were reading Shayari by Ali Akbar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Ali Akbar Abbas

Similar Moods

As you were reading Falak Shayari Shayari