qayaam-o-naql ajaib ke tarjumaan to nahin
amal har ek musalsal hai na-gahaan to nahin
ye markaze ki hararat kashish ka bais hai
jo ho vo sard to phir ye zameen bhi maa to nahin
muheet chaaron-taraf se hai ik khala-e-baseet
zameen ye apni faqat zer-e-aasmaan to nahin
hawa udaaye unhen aur kahi bhi le jaaye
ye teele ret ke pakki nishaaniyaan to nahin
hawa ke paas amaanat hain sab sada-o-aks
abhi girift se baahar hain par nihaan to nahin
क़याम-ओ-नक़्ल अजाइब के तर्जुमाँ तो नहीं
अमल हर एक मुसलसल है ना-गहाँ तो नहीं
ये मरकज़े की हरारत कशिश का बाइ'स है
जो हो वो सर्द तो फिर ये ज़मीं भी माँ तो नहीं
मुहीत चारों-तरफ़ से है इक ख़ला-ए-बसीत
ज़मीं ये अपनी फ़क़त ज़ेर-ए-आसमाँ तो नहीं
हवा उड़ाए उन्हें और कहीं भी ले जाए
ये टीले रेत के पक्की निशानियाँ तो नहीं
हवा के पास अमानत हैं सब सदा-ओ-अक्स
अभी गिरफ़्त से बाहर हैं पर निहाँ तो नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Akbar Abbas
our suggestion based on Ali Akbar Abbas
As you were reading Garmi Shayari Shayari