kabhi sar pe chadhe kabhi sar se guzre kabhi paanv aan gire dariya | कभी सर पे चढ़े कभी सर से गुज़रे कभी पाँव आन गिरे दरिया

  - Ali Akbar Abbas

kabhi sar pe chadhe kabhi sar se guzre kabhi paanv aan gire dariya
kabhi mujhe baha kar le jaaye kabhi mujh mein aan bahe dariya

gaata hoon mere sur mein sur mil jaaye us ki lehron ka
meri aankh mein aansu dekhe to phir apni aankh bhare dariya

main apni use sunaata hoon vo apni mujhe sunaata hai
main chup to vo bhi chup hai aur main kahoon to baat kahe dariya

kahi barf lapete baitha hai kahi ret bichha kar leta hai
kabhi jungle mein dera dale kabhi basti aan base dariya

ai dariya tera paat bada ai dariya tera zor bada
ai dariya gum ho kar tujh mein qatre ka naam pade dariya

ai shaayar tera dard bada ai shaayar teri soch badi
ai shaayar tere seene mein is jaisa laakh bahe dariya

कभी सर पे चढ़े कभी सर से गुज़रे कभी पाँव आन गिरे दरिया
कभी मुझे बहा कर ले जाए कभी मुझ में आन बहे दरिया

गाता हूँ मेरे सुर में सुर मिल जाए उस की लहरों का
मेरी आँख में आँसू देखे तो फिर अपनी आँख भरे दरिया

मैं अपनी उसे सुनाता हूँ वो अपनी मुझे सुनाता है
मैं चुप तो वो भी चुप है और मैं कहूँ तो बात कहे दरिया

कहीं बर्फ़ लपेटे बैठा है कहीं रेत बिछा कर लेटा है
कभी जंगल में डेरा डाले कभी बस्ती आन बसे दरिया

ऐ दरिया! तेरा पाट बड़ा, ऐ दरिया! तेरा ज़ोर बड़ा
ऐ दरिया! गुम हो कर तुझ में क़तरे का नाम पड़े दरिया

ऐ शाएर! तेरा दर्द बड़ा ऐ शाएर! तेरी सोच बड़ी
ऐ शाएर! तेरे सीने में इस जैसा लाख बहे दरिया

  - Ali Akbar Abbas

Samundar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Akbar Abbas

As you were reading Shayari by Ali Akbar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Ali Akbar Abbas

Similar Moods

As you were reading Samundar Shayari Shayari