bosida khudshaat ka malba door kahi dafnaao | बोसीदा ख़दशात का मलबा दूर कहीं दफ़नाओ

  - Ali Akbar Abbas

bosida khudshaat ka malba door kahi dafnaao
jismoon ki is shahr-e-panaah mein taaza shehar basaao

saare jism ka resha resha soch ki quwwat paaye
phir har saans ka haasil chahe sadiyon par failao

apna aap nahin hai sab kuchh apne aap se niklo
badbooeyn faila deta hai paani ka thehraav

muddat se kyun chaat rahe ho lafzon ki deewarein
seene mein makhfi khaakon ki vaazeh shakl banaao

apna apna kafan utaarein laashein udti jaayen
pyaasi zabaan nikale dharti chaate apne ghaav

बोसीदा ख़दशात का मलबा दूर कहीं दफ़नाओ
जिस्मों की इस शहर-ए-पनाह में ताज़ा शहर बसाओ

सारे जिस्म का रेशा रेशा सोच की क़ुव्वत पाए
फिर हर साँस का हासिल चाहे सदियों पर फैलाओ

अपना आप नहीं है सब कुछ अपने आप से निकलो
बदबूएँ फैला देता है पानी का ठहराव

मुद्दत से क्यूँ चाट रहे हो लफ़्ज़ों की दीवारें
सीने में मख़्फ़ी ख़ाकों की वाज़ेह शक्ल बनाओ

अपना अपना कफ़न उतारें लाशें उड़ती जाएँ
प्यासी ज़बाँ निकाले धरती चाटे अपने घाव

  - Ali Akbar Abbas

Shehar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Akbar Abbas

As you were reading Shayari by Ali Akbar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Ali Akbar Abbas

Similar Moods

As you were reading Shehar Shayari Shayari