saara din be-kaar baithe shaam ko ghar aa gaye
khwaab mein chalne lage deewaar se takra gaye
main bhari sadkon pe bhi be-chaap chalne lag gaya
ghar mein soye log mere zehan par yun chha gaye
mera beta mere dushman ki hi tasveerein banaaye
mere abbaa us ki kaapi dekh kar ghabra gaye
jab bhi suraj doobte dekha main khush hone laga
par kai manhoos chamgaadar mujhe larza gaye
aasmaan ki samt dekha baadlon ke vaaste
dekhte hi dekhte cheelon ke dil mandala gaye
सारा दिन बे-कार बैठे शाम को घर आ गए
ख़्वाब में चलने लगे दीवार से टकरा गए
मैं भरी सड़कों पे भी बे-चाप चलने लग गया
घर में सोए लोग मेरे ज़ेहन पर यूँ छा गए
मेरा बेटा मेरे दुश्मन की ही तस्वीरें बनाए
मेरे अब्बा उस की कापी देख कर घबरा गए
जब भी सूरज डूबते देखा मैं ख़ुश होने लगा
पर कई मनहूस चमगादड़ मुझे लर्ज़ा गए
आसमाँ की सम्त देखा बादलों के वास्ते
देखते ही देखते चीलों के दिल मंडला गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Akbar Abbas
our suggestion based on Ali Akbar Abbas
As you were reading Dushman Shayari Shayari