kabhi jo noor ka mazhar raha hai
vo kin tareekiyo mein mar raha hai
kisi suraj ka tukda tod laayein
zameen ka jism thanda pad raha hai
kahi aasaar dhunden zindagi ke
kabhi ye chaand mera ghar raha hai
mata-e-aasmaan bhi loot na jaaye
sitaare par sitaara gir raha hai
hawa mein lafz likkhe ja rahe hain
koi zakhmi parinda ud raha hai
कभी जो नूर का मज़हर रहा है
वो किन तारीकियों में मर रहा है
किसी सूरज का टुकड़ा तोड़ लाएँ
ज़मीं का जिस्म ठंडा पड़ रहा है
कहीं आसार ढूँडें ज़िंदगी के
कभी ये चाँद मेरा घर रहा है
मता-ए-आसमाँ भी लुट न जाए
सितारे पर सितारा गिर रहा है
हवा में लफ़्ज़ लिक्खे जा रहे हैं
कोई ज़ख़्मी परिंदा उड़ रहा है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Akbar Abbas
our suggestion based on Ali Akbar Abbas
As you were reading Nature Shayari Shayari