main lauh-e-arz par naazil hua sahifa hoon
dilon pe sabt hoon peshaaniyon pe likkha hoon
puraani rut mera muzda suna ke jaati hai
nayi rutoon ke jilau mein sada utarta hoon
main kaun hoon mujhe sab poochne se darte hain
main roz ek naye karb se guzarta hoon
main ek zinda haqeeqat hoon kaun jhutlaaye
jo hont band rahein aankh se chhalakta hoon
khuli hawa mein jo aaun to raakh ban jaaun
abhi main zer-e-zameen hoon magar ubalta hoon
kisi tarah to saveroon ki aankh khul jaaye
main shehar shehar mein suraj uthaaye chalta hoon
मैं लौह-ए-अर्ज़ पर नाज़िल हुआ सहीफ़ा हूँ
दिलों पे सब्त हूँ पेशानियों पे लिक्खा हूँ
पुरानी रुत मिरा मुज़्दा सुना के जाती है
नई रुतों के जिलौ में सदा उतरता हूँ
मैं कौन हूँ मुझे सब पूछने से डरते हैं
मैं रोज़ एक नए कर्ब से गुज़रता हूँ
मैं एक ज़िंदा हक़ीक़त हूँ कौन झुटलाए
जो होंट बंद रहें आँख से छलकता हूँ
खुली हवा में जो आऊँ तो राख बन जाऊँ
अभी मैं ज़ेर-ए-ज़मीं हूँ मगर उबलता हूँ
किसी तरह तो सवेरों की आँख खुल जाए
मैं शहर शहर में सूरज उठाए चलता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Akbar Abbas
our suggestion based on Ali Akbar Abbas
As you were reading Sach Shayari Shayari