paani mein bhi pyaas ka itna zahar mila hai
honton par aate har qatra sookh raha hai
andhe ho kar baadal bhaage firte hain
gaate gaate ek parinda aag hua hai
phool aur fal to taaza konpal par aate hain
peela patta is vehshat mein toot raha hai
gardish gardish chalne se hi kat paayega
chaaron jaanib ek safar ka jaal bichha hai
usi ped ke neeche dafn bhi hona hoga
jis ki jad par main ne apna naam likha hai
पानी में भी प्यास का इतना ज़हर मिला है
होंटों पर आते हर क़तरा सूख रहा है
अंधे हो कर बादल भागे फिरते हैं
गाते गाते एक परिंदा आग हुआ है
फूल और फल तो ताज़ा कोंपल पर आते हैं
पीला पत्ता इस वहशत में टूट रहा है
गर्दिश गर्दिश चलने से ही कट पाएगा
चारों जानिब एक सफ़र का जाल बिछा है
उसी पेड़ के नीचे दफ़्न भी होना होगा
जिस की जड़ पर मैं ने अपना नाम लिखा है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Akbar Abbas
our suggestion based on Ali Akbar Abbas
As you were reading Safar Shayari Shayari