jo khud ko paaye to phir doosra talash karein
is ik hayaat mein ab aur kya talash karein
sitaara-go hai ye shab is ko ghaur se sun len
aur is ka din jo kahi kho gaya talash karein
ham apni baat ko deewaar hi mein chunwa den
nazar shabeeh samaat sada talash karein
hai baab-e-jaan pe ruka aks-e-mehmaan aa kar
sar-e-vajood koi aaina talash karein
hawa mein zahar hai sehra ka ya samundar ka
ye ilm ho to koi badraqa talash karein
जो ख़ुद को पाएँ तो फिर दूसरा तलाश करें
इस इक हयात में अब और क्या तलाश करें
सितारा-गो है ये शब इस को ग़ौर से सुन लें
और इस का दिन जो कहीं खो गया तलाश करें
हम अपनी बात को दीवार ही में चुनवा दें
नज़र शबीह समाअत सदा तलाश करें
है बाब-ए-जाँ पे रुका अक्स-ए-मेहमाँ आ कर
सर-ए-वजूद कोई आइना तलाश करें
हवा में ज़हर है सहरा का या समुंदर का
ये इल्म हो तो कोई बदरक़ा तलाश करें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Akbar Abbas
our suggestion based on Ali Akbar Abbas
As you were reading Life Shayari Shayari