shuaaein aise mere jism se guzarti gaeein
lahu mein jaise mere kirchiyaan utarti gaeein
na jaane chehre hoon aainda nasl ke kaise
bas ek khauf se meri ragein sikudti gaeein
mujhe to lagte hain nakhun bhi apne zahar bujhe
mere liye to meri ungaliyaan bhi marti gaeein
jazeera kitne garaan paaniyon ki god mein hain
panaah ke liye sochen meri bikhrti gaeein
ye gardishon ka tawazun bigad na jaaye kahi
isee tarah jo zameen ki taheen udhadti gaeein
khala hayaat ke imkaan se to nahin aari
p justujooein kuchh apni hi maand padti gaeein
शुआएँ ऐसे मिरे जिस्म से गुज़रती गईं
लहू में जैसे मिरे किर्चियाँ उतरती गईं
न जाने चेहरे हूँ आइंदा नस्ल के कैसे
बस एक ख़ौफ़ से मेरी रगें सिकुड़ती गईं
मुझे तो लगते हैं नाख़ुन भी अपने ज़हर बुझे
मेरे लिए तो मिरी उँगलियाँ भी मरती गईं
जज़ीरे कितने गराँ पानियों की गोद में हैं
पनाह के लिए सोचें मिरी बिखरती गईं
ये गर्दिशों का तवाज़ुन बिगड़ न जाए कहीं
इसी तरह जो ज़मीं की तहें उधड़ती गईं
ख़ला हयात के इम्काँ से तो नहीं आरी
प जुस्तुजूएँ कुछ अपनी ही माँद पड़ती गईं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Akbar Abbas
our suggestion based on Ali Akbar Abbas
As you were reading Life Shayari Shayari