zabaan chup hai magar zehan ro raha hai lahu
ki jeete-jaagte logon ka so raha hai lahu
tamaam umr mila zahar is tasalsul se
ki apne-aap mein tiryaaq ho raha hai lahu
ragon mein utri hai jo shay vo na-muwaafiq hai
ki saare jism mein kaante se bo raha hai lahu
bas ek daayere mein raqs kar rahe hain hawas
khayal hai ki bagoola bilo raha hai lahu
har ek lahza utarti kasaafaten mujh mein
aur ek gardish-e-paiham mein dho raha hai lahu
koi kumak to mile ab mudaafat ke liye
vagarna rang ki taqat bhi kho raha hai lahu
ज़बान चुप है मगर ज़ेहन रो रहा है लहू
कि जीते-जागते लोगों का सो रहा है लहू
तमाम उम्र मिला ज़हर इस तसलसुल से
कि अपने-आप में तिरयाक हो रहा है लहू
रगों में उतरी है जो शय वो ना-मुवाफ़िक़ है
कि सारे जिस्म में काँटे से बो रहा है लहू
बस एक दाएरे में रक़्स कर रहे हैं हवास
ख़याल है कि बगूला बिलो रहा है लहू
हर एक लहज़ा उतरती कसाफ़तें मुझ में
और एक गर्दिश-ए-पैहम में धो रहा है लहू
कोई कुमक तो मिले अब मुदाफ़अत के लिए
वगर्ना रंग की ताक़त भी खो रहा है लहू
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Akbar Abbas
our suggestion based on Ali Akbar Abbas
As you were reading I Miss you Shayari Shayari