vo husn-e-be-misaal kahaan jalva-gar nahin | वो हुस्न-ए-बे-मिसाल कहाँ जल्वा-गर नहीं

  - Ali Fraz Rezvi

vo husn-e-be-misaal kahaan jalva-gar nahin
apna qusoor hai hamein taab-e-nazar nahin

sunte hain chaand raat ko aaya tha baam tak
phir is ke baad kya hua kuchh bhi khabar nahin

us ke saraapa husn ki taarif kya karein
sar-ta-qadam pari hai faqat us ke par nahin

bikhre hue hain baal sitaaron ki chaanv mein
sajde mein gir padenge sitaare ye dar nahin

guzri thi raat us ke qadam par pade pade
dekhi phir us ke baad kabhi phir sehar nahin

us ki faraaz ek jhalak bhi kise naseeb
ek tum ke tum ne dekha use raat bhar nahin

वो हुस्न-ए-बे-मिसाल कहाँ जल्वा-गर नहीं
अपना क़ुसूर है हमें ताब-ए-नज़र नहीं

सुनते हैं चाँद रात को आया था बाम तक
फिर इस के बाद क्या हुआ कुछ भी ख़बर नहीं

उस के सरापा हुस्न की तारीफ़ क्या करें
सर-ता-क़दम परी है फ़क़त उस के पर नहीं

बिखरे हुए हैं बाल सितारों की छाँव में
सज्दे में गिर पड़ेंगे सितारे ये दर नहीं

गुज़री थी रात उस के क़दम पर पड़े पड़े
देखी फिर उस के बाद कभी फिर सहर नहीं

उस की 'फ़राज़' एक झलक भी किसे नसीब
एक तुम के तुम ने देखा उसे रात भर नहीं

  - Ali Fraz Rezvi

Chaand Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Fraz Rezvi

As you were reading Shayari by Ali Fraz Rezvi

Similar Writers

our suggestion based on Ali Fraz Rezvi

Similar Moods

As you were reading Chaand Shayari Shayari