teri zulfon ke pech-o-kham ki qasam
chain se hain tere sitam ki qasam
jis ne dekheen so dil ganwa baitha
teri aankhen vo jaam-e-jam ki qasam
ham to dekha kiye the hasrat se
surkhi-e-lab ko chashm-e-nam ki qasam
ladkhadana hai un ki fitrat mein
kaun khaaye tere qadam ki qasam
jaane kab pee thi par nasha na gaya
mere saaqi tere karam ki qasam
but gaye but-kada hai veeraana
dil hai baaki abhi haram ki qasam
ho mubarak tumhein ye bazm-e-turaab
ham bhi khush hain jahaan-e-gham ki qasam
तेरी ज़ुल्फ़ों के पेच-ओ-ख़म की क़सम
चैन से हैं तेरे सितम की क़सम
जिस ने देखीं सो दिल गँवा बैठा
तेरी आँखें वो जाम-ए-जम की क़सम
हम तो देखा किए थे हसरत से
सुर्ख़ी-ए-लब को चश्म-ए-नम की क़सम
लड़खड़ाना है उन की फ़ितरत में
कौन खाए तेरे क़दम की क़सम
जाने कब पी थी पर नशा न गया
मेरे साक़ी तेरे करम की क़सम
बुत गए बुत-कदा है वीराना
दिल है बाक़ी अभी हरम की क़सम
हो मुबारक तुम्हें ये बज़्म-ए-तुराब
हम भी ख़ुश हैं जहान-ए-ग़म की क़सम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Fraz Rezvi
our suggestion based on Ali Fraz Rezvi
As you were reading Maikada Shayari Shayari