tere wa'de pe e'tibaar kiya
muztarib dil ne baar baar kiya
ham ne to is jahaan-e-faani mein
ho saka jitna intizaar kiya
us ko aana hai aayega lekin
kab qaza ne khayaal-e-yaar kiya
daaman-e-ishq waqt ne aakhir
dekh to kaisa taar taar kiya
dil ke khas-khaane jab sulagne lage
ham ne aankhon ko aabshaar kiya
teri majbooriyaan rahi hongi
theek hai ham ne e'tibaar kiya
jal utha toor bujh gaye deepak
ham ne khud ko faraaz daar kiya
तेरे वा'दे पे ए'तिबार किया
मुज़्तरिब दिल ने बार बार किया
हम ने तो इस जहान-ए-फ़ानी में
हो सका जितना इंतिज़ार किया
उस को आना है आएगा लेकिन
कब क़ज़ा ने ख़याल-ए-यार किया
दामन-ए-इश्क़ वक़्त ने आख़िर
देख तो कैसा तार तार किया
दिल के ख़स-ख़ाने जब सुलगने लगे
हम ने आँखों को आबशार किया
तेरी मजबूरियाँ रही होंगी
ठीक है हम ने ए'तिबार किया
जल उठा तूर बुझ गए दीपक
हम ने ख़ुद को 'फ़राज़' दार किया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Fraz Rezvi
our suggestion based on Ali Fraz Rezvi
As you were reading Paani Shayari Shayari