veeraan tha dil aaj bhi veeraana wahi hai
ye daur naya hai magar afsaana wahi hai
tu paalki mein baith ke gum ho gaya lekin
galiyon se tiri aaj bhi yaaraana wahi hai
ham bhi nahin badle ye jahaan bhi nahin badla
har roz har ik baat pe takraana wahi hai
ab tak wahi hai husn ka pal pal mein badalna
ab tak tire deewaanon ka ghabraana wahi hai
guzre the tire saath kabhi raah-e-chaman se
ye soch kar is raah mein itrana wahi hai
jo qais ko duniya se ali sang mile the
hai rasm wahi ishq ki nazraana wahi hai
वीरान था दिल आज भी वीराना वही है
ये दौर नया है मगर अफ़्साना वही है
तू पालकी में बैठ के गुम हो गया लेकिन
गलियों से तिरी आज भी याराना वही है
हम भी नहीं बदले ये जहाँ भी नहीं बदला
हर रोज़ हर इक बात पे टकराना वही है
अब तक वही है हुस्न का पल पल में बदलना
अब तक तिरे दीवानों का घबराना वही है
गुज़रे थे तिरे साथ कभी राह-ए-चमन से
ये सोच कर इस राह में इतराना वही है
जो क़ैस को दुनिया से 'अली' संग मिले थे
है रस्म वही इश्क़ की नज़राना वही है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Kazim
our suggestion based on Ali Kazim
As you were reading Husn Shayari Shayari