tanhaai tumhaari bhi zaroorat to nahin hai
tum ko bhi kahi dard-e-mohabbat to nahin hai
munh fer liya tum ne hamein dekhne ke baad
ye cheez tumhaari kahi aadat to nahin hai
vo maangte hain aaj gunaahon ki muafi
ya-rab bata de aaj qayamat to nahin hai
main chahta hoon chaand tumhein kah ke pukaaroon
phir sochta hoon koi himaqat to nahin hai
daulat mili to theek se milne lage hain log
insaan ki pehchaan ye daulat to nahin hai
तन्हाई तुम्हारी भी ज़रूरत तो नहीं है
तुम को भी कहीं दर्द-ए-मोहब्बत तो नहीं है
मुँह फेर लिया तुम ने हमें देखने के बाद
ये चीज़ तुम्हारी कहीं आदत तो नहीं है
वो माँगते हैं आज गुनाहों की मुआ'फ़ी
या-रब बता दे आज क़यामत तो नहीं है
मैं चाहता हूँ चाँद तुम्हें कह के पुकारूँ
फिर सोचता हूँ कोई हिमाक़त तो नहीं है
दौलत मिली तो ठीक से मिलने लगे हैं लोग
इंसान की पहचान ये दौलत तो नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Kazim
our suggestion based on Ali Kazim
As you were reading Insaan Shayari Shayari