ik turfah tamasha sar-e-bazaar banega
jo shakhs bhi aainaa-e-kirdaar banega
ye baat bhi tay ho gai dahisht-zadgaan mein
jo sang-b-dast aayega sardaar banega
rangon se na rakhiye kisi soorat ki tavakko
vo khoon ka qatra hai jo shehkaar banega
main us ke panpane ki dua maang raha hoon
bacche ke ye tevar hain ki fankaar banega
phir lakht-e-jigar koela le aaya kahi se
ab dekhiye kya kya sar-e-deewaar banega
yaksooi se jab us ki taraf dekhoge ash'ar
kuchh der mein mahtaab rukh-e-yaar banega
इक तुर्फ़ा तमाशा सर-ए-बाज़ार बनेगा
जो शख़्स भी आईना-ए-किरदार बनेगा
ये बात भी तय हो गई दहश्त-ज़दगाँ में
जो संग-ब-दस्त आएगा सरदार बनेगा
रंगों से न रखिए किसी सूरत की तवक़्क़ो
वो ख़ून का क़तरा है जो शहकार बनेगा
मैं उस के पनपने की दुआ माँग रहा हूँ
बच्चे के ये तेवर हैं कि फ़नकार बनेगा
फिर लख़्त-ए-जिगर कोएला ले आया कहीं से
अब देखिए क्या क्या सर-ए-दीवार बनेगा
यकसूई से जब उस की तरफ़ देखोगे 'अशअर'
कुछ देर में महताब रुख़-ए-यार बनेगा
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Ali Muthar Ashar
As you were reading Khoon Shayari Shayari