aqeede bujh rahe hain sham-e-jaan ghul hoti jaati hai | अक़ीदे बुझ रहे हैं शम-ए-जाँ ग़ुल होती जाती है - Ali Sardar Jafri

aqeede bujh rahe hain sham-e-jaan ghul hoti jaati hai
magar zauq-e-junoon ki shola-saamaani nahin jaati

khuda maaloom kis kis ke lahu ki laala-kaari hai
zameen-e-koo-e-jaanaan aaj pahchaani nahin jaati

agar yun hai to kyun hai yun nahin to kyun nahin aakhir
yaqeen mohkam hai lekin zid ki hairaani nahin jaati

lahu jitna tha saara sarf-e-maqtl ho gaya lekin
shaheedaan-e-wafaa ke rukh ki tabaani nahin jaati

pareshaan-rozgaar aashufta-haalaan ka muqaddar hai
ki us zulf-e-pareshaan ki pareshaani nahin jaati

har ik shay aur mahangi aur mahangi hoti jaati hai
bas ik khoon-e-bashar hai jis ki arzaani nahin jaati

ye naghma naghma-e-bedaari-e-jamhoor-e-aalam hai
vo shamsher-e-nawaa jis ki darkhshaani nahin jaati

naye khwaabon ke dil mein shola-e-khurshid-e-mahshar hai
zameer-e-hazrat-e-insaan ki sultaani nahin jaati

lagaate hain labon par mohr arbaab-e-zabaan-bandi
ali-sardaar ki shaan-e-ghazal-khwaani nahin jaati

अक़ीदे बुझ रहे हैं शम-ए-जाँ ग़ुल होती जाती है
मगर ज़ौक़-ए-जुनूँ की शोला-सामानी नहीं जाती

ख़ुदा मालूम किस किस के लहू की लाला-कारी है
ज़मीन-ए-कू-ए-जानाँ आज पहचानी नहीं जाती

अगर यूँ है तो क्यूँ है यूँ नहीं तो क्यूँ नहीं आख़िर
यक़ीं मोहकम है लेकिन ज़िद की हैरानी नहीं जाती

लहू जितना था सारा सर्फ़-ए-मक़्तल हो गया लेकिन
शहीदान-ए-वफ़ा के रुख़ की ताबानी नहीं जाती

परेशाँ-रोज़गार आशुफ़्ता-हालाँ का मुक़द्दर है
कि उस ज़ुल्फ़-ए-परेशाँ की परेशानी नहीं जाती

हर इक शय और महँगी और महँगी होती जाती है
बस इक ख़ून-ए-बशर है जिस की अर्ज़ानी नहीं जाती

ये नग़्मा नग़्मा-ए-बेदारी-ए-जम्हूर-ए-आलम है
वो शमशीर-ए-नवा जिस की दरख़शानी नहीं जाती

नए ख़्वाबों के दिल में शोला-ए-ख़ुर्शीद-ए-महशर है
ज़मीर-ए-हज़रत-ए-इंसाँ की सुल्तानी नहीं जाती

लगाते हैं लबों पर मोहर अर्बाब-ए-ज़बाँ-बंदी
अली-'सरदार' की शान-ए-ग़ज़ल-ख़्वानी नहीं जाती

- Ali Sardar Jafri
0 Likes

Aitbaar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Sardar Jafri

As you were reading Shayari by Ali Sardar Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Ali Sardar Jafri

Similar Moods

As you were reading Aitbaar Shayari Shayari