phir ik din aisa aayega | फिर इक दिन ऐसा आएगा

  - Ali Sardar Jafri

phir ik din aisa aayega
aankhon ke diye bujh jaayenge
haathon ke kanwal kumhlaayenge
aur barg-e-zabaanse nutq o sada
ki har titli ud jaayegi
ik kaale samundar ki tah mein
kaliyon ki tarah se khilti hui
phoolon ki tarah se hansati hui
saari shaklein kho jaayengi
khoonki gardish dil ki dhadkan
sab raagniyaan so jaayengi
aur neeli fazaa ki makhmal par
hansati hui heere ki ye kani
ye meri jannat meri zameen
is ki subhen is ki shaamen
be-jaane hue be-samjhe hue
ik musht-e-ghubaar-e-insaanpar
shabnam ki tarah ro jaayengi
har cheez bhula di jaayegi
yaadon ke haseen but-khaane se
har cheez utha di jaayegi
phir koi nahin ye poochhega
sardaar kahaan hai mehfil mein

lekin main yahaan phir aaunga
bacchon ke dehan se boloonga
chidiyon ki zabaan se gaaunga
jab beej hansenge dharti mein
aur kompalen apni ungli se
mitti ki tahon ko chhedenngi
main patti patti kali kali
apni aankhen phir kholoonga
sarsabz hatheli par le kar
shabnam ke qatre taalunga
main rang-e-hina aahang-e-ghazal
andaaz-e-sukhan ban jaaunga
rukhsar-e-uroos-e-nau ki tarah
har aanchal se chin jaaunga
jaadon ki hawaayendaaman mein
jab fasl-e-khizanko laayengi
rah-rau ke jawaan qadmon ke tale
sukhe hue patton se mere
hansne ki sadaayenaayengi
dharti ki sunhari sab nadiyaan
aakaash ki neeli sab jheelein
hasti se meri bhar jaayengi
aur saara zamaana dekhega
har qissa mera afsaana hai
har aashiq hai sardaar yahaan
har maashooqa sultaana hai

main ek gurezaanlamha hoon
ayyaam ke afsun-khaane mein
main ek tadpata qatra hoon
masroof-e-safar jo rehta hai
maazi ki suraahi ke dil se
mustaqbil ke paimaane mein
main sota hoonaur jaagta hoon
aur jaag ke phir so jaata hoon
sadiyon ka puraana khel hoonmain
main mar ke amar ho jaata hoon

फिर इक दिन ऐसा आएगा
आंखों के दीये बुझ जाएंगे
हाथों के कंवल कुम्हलाएंगे
और बर्ग-ए-ज़बांसे नुत्क़ ओ सदा
की हर तितली उड़ जाएगी
इक काले समुंदर की तह में
कलियों की तरह से खिलती हुई
फूलों की तरह से हंसती हुई
सारी शक्लें खो जाएंगी
ख़ूंकी गर्दिश दिल की धड़कन
सब रागनियां सो जाएंगी
और नीली फ़ज़ा की मख़मल पर
हंसती हुई हीरे की ये कनी
ये मेरी जन्नत मेरी ज़मीं
इस की सुब्हें इस की शामें
बे-जाने हुए बे-समझे हुए
इक मुश्त-ए-ग़ुबार-ए-इंसांपर
शबनम की तरह रो जाएंगी
हर चीज़ भुला दी जाएगी
यादों के हसीं बुत-ख़ाने से
हर चीज़ उठा दी जाएगी
फिर कोई नहीं ये पूछेगा
'सरदार' कहां है महफ़िल में

लेकिन मैं यहां फिर आऊंगा
बच्चों के दहन से बोलूंगा
चिड़ियों की ज़बां से गाऊंगा
जब बीज हंसेंगे धरती में
और कोंपलें अपनी उंगली से
मिट्टी की तहों को छेड़ेंगी
मैं पत्ती पत्ती कली कली
अपनी आंखें फिर खोलूंगा
सरसब्ज़ हथेली पर ले कर
शबनम के क़तरे तौलूंगा
मैं रंग-ए-हिना आहंग-ए-ग़ज़ल
अंदाज़-ए-सुख़न बन जाऊंगा
रुख़्सार-ए-उरूस-ए-नौ की तरह
हर आंचल से छिन जाऊंगा
जाड़ों की हवाएंदामन में
जब फ़स्ल-ए-ख़िज़ांको लाएंगी
रह-रौ के जवां क़दमों के तले
सूखे हुए पत्तों से मेरे
हंसने की सदाएंआएंगी
धरती की सुनहरी सब नदियां
आकाश की नीली सब झीलें
हस्ती से मिरी भर जाएंगी
और सारा ज़माना देखेगा
हर क़िस्सा मिरा अफ़्साना है
हर आशिक़ है 'सरदार' यहां
हर माशूक़ा 'सुल्ताना' है

मैं एक गुरेज़ांलम्हा हूं
अय्याम के अफ़्सूं-ख़ाने में
मैं एक तड़पता क़तरा हूं
मसरूफ़-ए-सफ़र जो रहता है
माज़ी की सुराही के दिल से
मुस्तक़बिल के पैमाने में
मैं सोता हूंऔर जागता हूं
और जाग के फिर सो जाता हूं
सदियों का पुराना खेल हूंमैं
मैं मर के अमर हो जाता हूं

  - Ali Sardar Jafri

Samundar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Sardar Jafri

As you were reading Shayari by Ali Sardar Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Ali Sardar Jafri

Similar Moods

As you were reading Samundar Shayari Shayari