ab tak jo door hai vo riyaazat safar mein hai
manzil qareeb-tar hai magar ik bhanwar mein hai
dukh dard ishq aas ka partav hoon main sanam
aansu khushi jafaa ka asar mujh shajar mein hai
ye jo panap rahi hai mohabbat dilon mein yaar
ye jism ki talab hai jo har ik nagar mein hai
is qadar badh gai hai havas mard mein ki ab
izzat ki fikr hai to tawaif ki dar mein hai
ye jhooth bolna bhi ladunga ka kaam hai
aur ye hunar faqat mere maula bashar mein hai
bachpan mein jis zaifa ko dekha tha chaand mein
vo ab bhi charkha kaat rahi hai qamar mein hai
har daur ke lutere ne lootaa hai ye watan
par is ko kya khabar vo hamaari khabar mein hai
अब तक जो दूर है वो रियाज़त सफ़र में है
मंज़िल क़रीब-तर है मगर इक भँवर में है
दुख दर्द इश्क़ आस का परतव हूँ मैं सनम
आँसू ख़ुशी जफ़ा का असर मुझ शजर में है
ये जो पनप रही है मोहब्बत दिलों में यार
ये जिस्म की तलब है जो हर इक नगर में है
इस क़दर बढ़ गई है हवस मर्द में कि अब
इज़्ज़त की फ़िक्र है तो तवाइफ़ कि डर में है
ये झूट बोलना भी नफ़ासत का काम है
और ये हुनर फ़क़त मिरे मौला बशर में है
बचपन में जिस ज़ईफ़ा को देखा था चाँद में
वो अब भी चर्ख़ा कात रही है क़मर में है
हर दौर के लुटेरे ने लूटा है ये वतन
पर इस को क्या ख़बर वो हमारी ख़बर में है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by alii maan azfar
our suggestion based on alii maan azfar
As you were reading Dost Shayari Shayari