faisla koi mere haq mein hua hai shaayad
mausam-e-gul mere aangan mein ruka hai shaayad
muddaton ba'ad kiya raabta us ne to laga
us ko ehsaas-e-pashemaani hua hai shaayad
aao ik baar kitaabon ko khangaala jaaye
phool jo us ne diya tha vo rakha hai shaayad
naghma-zan taar-e-nafs mein hain usi ki yaadein
dhadkano mein bhi wahi bol raha hai shaayad
us se pehle sa ravaabit mein tasalsul na raha
darmiyaan dono ke ab koi khala hai shaayad
waqt-e-rukhsat bhi na chehre pe shikan thi us ke
saaf zaahir tha vo kuchh soch chuka hai shaayad
ratjage karvatein bechaini udaasi uljhan
us ki yaadon ka varq koi khula hai shaayad
muztarib kitne hi sajde hain jabeen par meri
ma'bad-e-ishq mein vo jalwa-numa hai shaayad
waadi-e-jism buroodat se dahak uthi hai
fasl-e-baaraan ki hawaon ne chhua hai shaayad
baarha mushkilein ho jaati hain aasaan ambar
tere haq mein bhi kisi lab pe dua hai shaayad
फ़ैसला कोई मिरे हक़ में हुआ है शायद
मौसम-ए-गुल मिरे आँगन में रुका है शायद
मुद्दतों बा'द किया राब्ता उस ने तो लगा
उस को एहसास-ए-पशेमानी हुआ है शायद
आओ इक बार किताबों को खंगाला जाए
फूल जो उस ने दिया था वो रखा है शायद
नग़्मा-ज़न तार-ए-नफ़स में हैं उसी की यादें
धड़कनों में भी वही बोल रहा है शायद
उस से पहले सा रवाबित में तसलसुल न रहा
दरमियाँ दोनों के अब कोई ख़ला है शायद
वक़्त-ए-रुख़्सत भी न चेहरे पे शिकन थी उस के
साफ़ ज़ाहिर था वो कुछ सोच चुका है शायद
रतजगे करवटें बेचैनी उदासी उलझन
उस की यादों का वरक़ कोई खुला है शायद
मुज़्तरिब कितने ही सज्दे हैं जबीं पर मेरी
मा'बद-ए-इश्क़ में वो जल्वा-नुमा है शायद
वादी-ए-जिस्म बुरूदत से दहक उठी है
फ़स्ल-ए-बाराँ की हवाओं ने छुआ है शायद
बारहा मुश्किलें हो जाती हैं आसाँ 'अम्बर'
तेरे हक़ में भी किसी लब पे दुआ है शायद
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ambar Abid
our suggestion based on Ambar Abid
As you were reading Nature Shayari Shayari