jo ab jahaan-e-barhana ka istiaara hua | जो अब जहान-ए-बरहना का इस्तिआरा हुआ - Ameer Imam

jo ab jahaan-e-barhana ka istiaara hua
main zindagi tira ik pairhan utaara hua

siyah-khoon tapkata hai lamhe lamhe se
na jaane raat pe shab-khun hai kis ne maara hua

jakad ke saanson mein tashheer ho rahi hai meri
main ek qaid sipaahi hoon jang haara hua

phir is ke baad vo aansu utar gaya dil mein
zara si der ko aankhon mein ik sharaara hua

khuda ka shukr meri tishnagi palat aayi
chali gai thi samundar ka jab ishaara hua

ameer imaam mubarak ho fateh-e-ishq tumhein
ye dard-e-maal-e-ghaneemat hai sab tumhaara hua

जो अब जहान-ए-बरहना का इस्तिआरा हुआ
मैं ज़िंदगी तिरा इक पैरहन उतारा हुआ

सियाह-ख़ून टपकता है लम्हे लम्हे से
न जाने रात पे शब-ख़ूँ है किस ने मारा हुआ

जकड़ के साँसों में तश्हीर हो रही है मिरी
मैं एक क़ैद सिपाही हूँ जंग हारा हुआ

फिर इस के बाद वो आँसू उतर गया दिल में
ज़रा सी देर को आँखों में इक शरारा हुआ

ख़ुदा का शुक्र मिरी तिश्नगी पलट आई
चली गई थी समुंदर का जब इशारा हुआ

अमीर इमाम मुबारक हो फ़तह-ए-इश्क़ तुम्हें
ये दर्द-ए-माल-ए-ग़नीमत है सब तुम्हारा हुआ

- Ameer Imam
0 Likes

Andhera Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Imam

As you were reading Shayari by Ameer Imam

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Imam

Similar Moods

As you were reading Andhera Shayari Shayari