ab gham ka koi gham na khushi ki khushi mujhe
aakhir ko raas aa hi gai zindagi mujhe
vo qatl kar ke mujh ko pashemaan hue to kya
lautaa sakenge phir na meri zindagi mujhe
saare jahaan mein hoti hai amn-o-amaan ki baat
lekin nazar na aayi kahi aashti mujhe
neza uthaaye phirti hai har raah mein qaza
har mod par hiraas mili zindagi mujhe
main ghoont ghoont jaam se behlaaun jee ko kya
be-khauf kaash kar hi de tishna-labi mujhe
ik lazzat-e-gunah thi kya lazzat-e-gunah
ta-umr raas aayi na phir bandagi mujhe
kuchh aarzoo nahin ki farishta banuun anees
kaafi hai haan jo log kahein aadmi mujhe
अब ग़म का कोई ग़म न ख़ुशी की ख़ुशी मुझे
आख़िर को रास आ ही गई ज़िंदगी मुझे
वो क़त्ल कर के मुझ को पशेमाँ हुए तो क्या
लौटा सकेंगे फिर न मिरी ज़िंदगी मुझे
सारे जहाँ में होती है अम्न-ओ-अमाँ की बात
लेकिन नज़र न आई कहीं आश्ती मुझे
नेज़ा उठाए फिरती है हर राह में क़ज़ा
हर मोड़ पर हिरास मिली ज़िंदगी मुझे
मैं घूँट घूँट जाम से बहलाऊँ जी को क्या
बे-ख़ौफ़ काश कर ही दे तिश्ना-लबी मुझे
इक लज़्ज़त-ए-गुनाह थी क्या लज़्ज़त-ए-गुनाह
ता-उम्र रास आई न फिर बंदगी मुझे
कुछ आरज़ू नहीं कि फ़रिश्ता बनूँ 'अनीस'
काफ़ी है हाँ जो लोग कहें आदमी मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Anees Ahmad Anees
our suggestion based on Anees Ahmad Anees
As you were reading Udasi Shayari Shayari