jo aaine se teri jalwa-saamaani nahin jaati | जो आईने से तेरी जल्वा-सामानी नहीं जाती

  - Anees Ahmad Anees

jo aaine se teri jalwa-saamaani nahin jaati
kisi bhi dekhne waale ki hairaani nahin jaati

kabhi ik baar hawle se pukaara tha mujhe tum ne
kisi ki mujh se ab awaaz pahchaani nahin jaati

bhari mehfil mein mujh se fer li theen be-sabab nazrein
vo din aur aaj tak un ki pashemaani nahin jaati

pise jaate hain dil har-gaam pe shor-e-qayaamat se
khiraam-e-naaz teri fitna-saamaani nahin jaati

gawara hi na thi jin ko judaai meri dam-bhar ki
unhin se aaj meri shakl pahchaani nahin jaati

vo mere haath ka shokhi se jaana un ke daaman tak
vo un ka naaz se kehna ki nadaani nahin jaati

garebaan ahl-e-wahshat ke siya karta tha hosh ik din
aur ab mujh se hi meri chaak-damaani nahin jaati

जो आईने से तेरी जल्वा-सामानी नहीं जाती
किसी भी देखने वाले की हैरानी नहीं जाती

कभी इक बार हौले से पुकारा था मुझे तुम ने
किसी की मुझ से अब आवाज़ पहचानी नहीं जाती

भरी महफ़िल में मुझ से फेर ली थीं बे-सबब नज़रें
वो दिन और आज तक उन की पशेमानी नहीं जाती

पिसे जाते हैं दिल हर-गाम पे शोर-ए-क़यामत से
ख़िराम-ए-नाज़ तेरी फ़ित्ना-सामानी नहीं जाती

गवारा ही न थी जिन को जुदाई मेरी दम-भर की
उन्हीं से आज मेरी शक्ल पहचानी नहीं जाती

वो मेरे हाथ का शोख़ी से जाना उन के दामन तक
वो उन का नाज़ से कहना कि नादानी नहीं जाती

गरेबाँ अहल-ए-वहशत के सिया करता था होश इक दिन
और अब मुझ से ही मेरी चाक-दामानी नहीं जाती

  - Anees Ahmad Anees

Adaa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anees Ahmad Anees

As you were reading Shayari by Anees Ahmad Anees

Similar Writers

our suggestion based on Anees Ahmad Anees

Similar Moods

As you were reading Adaa Shayari Shayari