neend karvat ashq shikwe aur kuch jazbaat hain | नींद, करवट, अश्क़, शिकवे और कुछ जज़्बात हैं - Ankit Dixit

neend karvat ashq shikwe aur kuch jazbaat hain
kitne naazuk aaj ki is raat ke haalaat hain

saamne mere hi uska haath thaame tha raqeeb
main usi din maan baitha ishq mein ye maat hain

ajnabi ik shakhs ke lag kar gale hum ro pade
poochta vo rah gaya kuch to bata kya baat hain

pehle lagta tha haseen mausam hua hai ishq mein
ab ye lagta hai ki jaise har ghadi barsaat hain

band-baaja aur oopar se patakho'n ka ye shor
cheer dale dil ko jo talwaar si baaraat hain

koi aaye koi jaaye farq ab padta nahin
dil lagaane ke nahin ab arz ke haalaat hain

नींद, करवट, अश्क़, शिकवे और कुछ जज़्बात हैं
कितने नाज़ुक आज की इस रात के हालात हैं

सामने मेरे ही उसका हाथ थामे था रक़ीब
मैं उसी दिन मान बैठा इश्क़ में ये मात हैं

अजनबी इक शख़्स के लग कर गले हम रो पड़े
पूछता वो रह गया "कुछ तो बता, क्या बात हैं"?

पहले लगता था हसीं मौसम हुआ है इश्क़ में
अब ये लगता है कि जैसे हर घड़ी बरसात हैं

बैंड-बाजा और ऊपर से पटाखों का ये शोर
चीर डाले दिल को जो तलवार सी बारात हैं

कोई आए, कोई जाए, फ़र्क अब पड़ता नहीं
दिल लगाने के नहीं अब 'अर्ज़' के हालात हैं

- Ankit Dixit
6 Likes

Kashmir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ankit Dixit

As you were reading Shayari by Ankit Dixit

Similar Writers

our suggestion based on Ankit Dixit

Similar Moods

As you were reading Kashmir Shayari Shayari