kaifiyat ke khilaaf jaane ko | कैफ़ियत के ख़िलाफ़ जाने को

  - Arjun Dubey Ashk

kaifiyat ke khilaaf jaane ko
dil to karta hai muskuraane ko

mas'ala khudkushi nahin mera
ghar mein koi nahin kamaane ko

ek takiya hai beech mein apne
koi naaraaz hai bataane ko

tum to bas aitraaz karti ho
warna ik baat thi bataane ko

aap se ham khafa nahin yaara
dil to hota hi hai dukhaane ko

leila ab qais ko samjhti hai
qais samjha nahin zamaane ko

ishq mujhko kabhi mila hi nahin
sach bataana hai kyun zamaane ko

कैफ़ियत के ख़िलाफ़ जाने को
दिल तो करता है मुस्कुराने को

मसअला ख़ुदकुशी नहीं मेरा
घर में कोई नहीं कमाने को

एक तकिया है बीच में अपने
कोई नाराज़ है बताने को

तुम तो बस ऐतराज़ करती हो
वर्ना इक बात थी बताने को

आप से हम ख़फ़ा नहीं यारा
दिल तो होता ही है दुखाने को

लैला अब क़ैस को समझती है
क़ैस समझा नहीं ज़माने को

इश्क़ मुझको कभी मिला ही नहीं
सच बताना है क्यों ज़माने को

  - Arjun Dubey Ashk

Sach Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Arjun Dubey Ashk

As you were reading Shayari by Arjun Dubey Ashk

Similar Writers

our suggestion based on Arjun Dubey Ashk

Similar Moods

As you were reading Sach Shayari Shayari